Kaho to laut jate hain


Abhi to baat lamhon tak hai, saalon tak nahi ayi

Abhi muskaano ki naubat bhi naalon tak nahi ayi



Abhi to koi majboori khayalon tak nahi ayi

Abhi to gard pairon tak hai, Baalon tak nahi ayi

Kaho toh laut jatay hain...

Chalo ek faisla karne shajar ki or jate hain

Abhi kajal ki dori surkh gaalon tak nahi ayi
Zubaan daanton talak hai zehar pyaalon tak naheen ayi
Abhi toh mushk-e-kustori ghazalon tak nahin ayi
Abhi rudaad-e-be-unwaan humare darmiyaan hai, duniya waalon tak nahin aai

Kaho toh laut jate hain......

Abhi nazdeek hain ghar aur manzil door hai apni
Mabaada naar ho jaye yeh hasti noor hai apni

Kaho toh laut jate hain.....

Yeh rasta pyar ka rasta, Rasan ka daar ka rasta, bohat dushwaar hai jaana
ki is raste ka har zarra bhi ik kohsaar hai jaana.

Kaho toh laut jaatay hain.....

Meray baare na kuch socho
Mujhe taye karna aata hai rasan ka daar ka rasta
Yeh aseebon bhara rasta
Yeh andhi haar ka rasta


Tumhara narm o nazuk haath ho mere haathon mein toh main yeh samjhoon

Ki jaise do jahaan ho meri muthi mein

Tumhara kurb ho toh mushkilain kafoor ho jayein
Yeh andhe aur kale raste pur noor ho jayein.

Tumhare gesuoun ki chaaoun mil jaye to suraj say ulajhna baat hi kiya hai

Utha lo apna saaya toh meri ouqaat hi kiya hai

Meray baare na kuch socho
Tum apni baat batlao
Kaho to chalte rehte hain
Kaho to laut jaate hain.
Kaho to laut jaate hain.


0 comments:

Post a Comment