Pyase honto se bohat karta tha wo meethi batein,
Ho ke kareeb badal jata hai ab lehja uska....
Bahot muddat se aisa hai, K wo khamosh rehta hai,
Koi gehra hai ghum shayad, Jise chup chap sehta hai,
Yunhi chaltey huye tanha, Koi ghamgeen sa naghma,
wo aksar gungunata hai,
Dauran-e-guftagu yunhi, Milen nazron se jb nazren,
To baten bhool jata hai,
Kisi gum sum si halat main, Ya pihr barish k mausam main
Faqat itna hi kehta hai,
Udasi be-waja si hai, Bahut bojhal tabiyat hai,
Bhala sach kyun nahi kehta, USAY mujh se MOHABBAT hai.

0 comments:
Post a Comment